Pyar mujh se jo kiya tum ne to kya pao gee
Mere haalaat ki aandhi main bikhar jao gee
Ranj aur dard ki basti ka main bashinda houn
Yeh to bass main houn k is haal main b zinda houn
Khawab kyun dekhoon woh kal jis pey main sharminda huun
Main jo sharminda huun tum b to sharmao gee
Kyun mere saath koi aur pareshan rahay
Meri duniya hai jo viraan to viraan rahay
Zindagi ka yeh safar tumko to asaan rahay
Humsafar mujhko banao gi to pachtao geee
EK main kya abhee aayeingey deewanay kitnay
Abhee goojein gey mohabbat k taraanay kitnay
Zindagi tumko sunayegee fasaanay kitnay
Kyun samajti ho mujhe bhool nahee pao geee
Mere haalat ki aandhi main bikhar jao gee